jis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
likh dījiyo yā rab use qismat meñ adū kī
achchhā hai sar-añgusht-e-hinā.ī kā tasavvur
dil meñ nazar aatī to hai ik buuñd lahū kī
kyuuñ Darte ho ushshāq kī be-hauslagī se
yaañ to koī suntā nahīñ fariyād kisū kī
dashne ne kabhī muñh na lagāyā ho jigar ko
ḳhanjar ne kabhī baat na pūchhī ho gulū kī
sad-haif vo nākām ki ik umr se 'ġhālib'
hasrat meñ rahe ek but-e-arbada-jū kī
go zindagi-e-zāhid-e-be-chāra abas hai
itnā hai ki rahtī to hai tadbīr vazū kī