zulmat-kade meñ mere shab-e-ġham kā josh hai
ik sham.a hai dalīl-e-sahar so ḳhamosh hai
ne muzhda-e-visāl na nazzāra-e-jamāl
muddat huī ki āshtī-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiyā hai husn-e-ḳhud-ārā ko be-hijāb
ai shauq! haañ ijāzat-e-taslīm-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-ḳhūbāñ meñ dekhnā
kyā auj par sitāra-e-gauhar-farosh hai
dīdār baada hausla saaqī nigāh mast
bazm-e-ḳhayāl mai-kada-e-be-ḳharosh hai
ai taaza vārdān-e-bisāt-e-havā-e-dil
zinhār agar tumheñ havas-e-nā.e-o-nosh hai
dekho mujhe jo dīda-e-ibrat-nigāh ho
merī suno jo gosh-e-nasīhat-ne.osh hai
sāqī-ba-jalva dushman-e-īmān-o-āgahī
mutrib ba-naġhma rahzan-e-tamkīn-o-hosh hai
yā shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisāt
dāmān-e-bāġhbān o kaf-e-gul-farosh hai
luft-e-ḳhiram-e-sāqī o zauq-e-sadā-e-chang
ye jannat-e-nigāh vo firdaus-e-gosh hai
yā sub.h-dam jo dekhiye aa kar to bazm meñ
ne vo surūr o soz na josh-o-ḳharosh hai
dāġh-e-firāq-e-sohbat-e-shab kī jalī huī
ik sham.a rah ga.ī hai so vo bhī ḳhamosh hai
aate haiñ ġhaib se ye mazāmīñ ḳhayāl meñ
'ġhālib' sarīr-e-ḳhāma navā-e-sarosh hai