Mirza Ghalib

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e hai
maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai
haath dho dil se yahī garmī gar andeshe meñ hai
ābgīna tundi-e-sahbā se pighlā jaa.e hai
ġhair ko yā rab vo kyūñkar mana-e-gustāḳhī kare
gar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jaa.e hai
shauq ko ye lat ki har dam naala khīñche jā.iye
dil kī vo hālat ki dam lene se ghabrā jaa.e hai
duur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se vaah vaah
naġhma ho jaatā hai vaañ gar naala merā jaa.e hai
garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishq
par ham aise kho.e jaate haiñ ki vo pā jaa.e hai
us kī bazm-ārā.iyāñ sun kar dil-e-ranjūr yaañ
misl-e-naqsh-e-mudda.ā-e-ġhair baiThā jaa.e hai
ho ke āshiq vo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayā
rañg khultā jaa.e hai jitnā ki uḌtā jaa.e hai
naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā naaz haiñ
khīñchtā hai jis qadar utnā hī khiñchtā jaa.e hai
saaya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai 'asad'
paas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jaa.e hai
Top Urdushayar.com