Mirza Ghalib

qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parwar hua

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parvar huā
ḳhatt-e-jām-e-mai sarāsar rishta-e-gauhar huā
e'tibār-e-ishq kī ḳhāna-ḳharābī dekhnā
ġhair ne kī aah lekin vo ḳhafā mujh par huā
garmī-e-daulat hui ātish-zan-e-nām-e-niko
ḳhāna-e-ḳhātim meñ yāqūt-e-nagīñ aḳhtar huā
nashsha meñ gum-karda-rāh aayā vo mast-e-fitna-ḳhū
aaj rañg-rafta daur-e-gardish-e-sāġhar huā
dard se dar-parda dī mizhgāñ-siyāhāñ ne shikast
reza reza ustuḳhāñ kā post meñ nashtar huā
zohd gardīdan hai gard-e-ḳhāna-hā-e-mun.imāñ
dāna-e-tasbīh se maiñ mohra-dar-shashdar huā
ai ba-zabt-e-hāl-e-nā-afsurdagāñ josh-e-junūñ
nashsha-e-mai hai agar yak-parda nāzuk-tar huā
is chaman meñ resha-dārī jis ne sar kheñchā 'asad'
tar zabān-e-lutf-e-ām-e-sāqī-e-kausar huā
Top Urdushayar.com