Mirza Ghalib

shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab tha

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab thā
sho.ala-e-javvāla har yak halqa-e-girdāb thā
vaañ karam ko uzr-e-bārish thā ināñ-gīr-e-ḳhirām
girye se yaañ pumba-e-bālish kaf-e-sailāb thā
vaañ ḳhud-ārā.ī ko thā motī pirone kā ḳhayāl
yaañ hujūm-e-ashk meñ tār-e-nigah nāyāb thā
jalva-e-gul ne kiyā thā vaañ charāġhāñ aabjū
yaañ ravāñ mizhgān-e-chashm-e-tar se ḳhūn-e-nāb thā
yaañ sar-e-pur-shor be-ḳhvābī se thā dīvār-jū
vaañ vo farq-e-nāz mahv-e-bālish-e-kim-ḳhvāb thā
yaañ nafas kartā thā raushan sham-e-bazm-e-be-ḳhudī
jalva-e-gul vaañ bisāt-e-sohbat-e-ahbāb thā
farsh se tā arsh vaañ tūfāñ thā mauj-e-rañg kā
yaañ zamīñ se āsmāñ tak soḳhtan kā baab thā
nā-gahāñ is rañg se ḳhūnāba Tapkāne lagā
dil ki zauq-e-kāvish-e-nāḳhun se lazzat-yāb thā
Top Urdushayar.com