Mirza Ghalib

jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
ḳhayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ
dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan ke
suvaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ
tire sarv-qāmat se ik qadd-e-ādam
qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ
tamāshā ki ai mahv-e-ā.īna-dārī
tujhe kis tamannā se ham dekhte haiñ
surāġh-e-taf-e-nāla le dāġh-e-dil se
ki shab-rau kā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
banā kar faqīroñ kā ham bhes 'ġhālib'
tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
kisū ko za-ḳhud rasta kam dekhte haiñ
ki aahū ko pāband-e-ram dekhte haiñ
ḳhat-e-laḳht-e-dil yak-qalam dekhte haiñ
mizha ko javāhar raqam dekhte haiñ
Top Urdushayar.com