havas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā
na ho marnā to jiine kā mazā kyā
tajāhul-peshgī se mudda.ā kyā
kahāñ tak ai sarāpā naaz kyā kyā
navāzish-hā-e-bejā dekhtā huuñ
shikāyat-hā-e-rañgīñ kā gila kyā
nigāh-e-be-mahābā chāhtā huuñ
taġhāful-hā-e-tamkīñ-āzmā kyā
faroġh-e-shola-e-ḳhas yak-nafas hai
havas ko pās-e-nāmūs-e-vafā kyā
nafas mauj-e-muhīt-e-be-ḳhudī hai
taġhāful-hā-e-sāqī kā gila kyā
dimāġh-e-itr-e-pairāhan nahīñ hai
ġham-e-āvārgī-hā-e-sabā kyā
dil-e-har-qatra hai sāz-e-anal-bahar
ham us ke haiñ hamārā pūchhnā kyā
muhābā kyā hai maiñ zāmin idhar dekh
shahīdān-e-nigah kā ḳhūñ-bahā kyā
sun ai ġhārat-gar-e-jins-e-vafā sun
shikast-e-qīmat-e-dil kī sadā kyā
kiyā kis ne jigar-dārī kā daavā
shakeb-e-ḳhatir-e-āshiq bhalā kyā
ye qātil vāda-e-sabr-āzmā kyuuñ
ye kāfir fitna-e-tāqat-rubā kyā
balā-e-jāñ hai 'ġhālib' us kī har baat
ibārat kyā ishārat kyā adā kyā