Mirza Ghalib

mahram nahin hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
mahram nahīñ hai tū hī navā-hā-e-rāz kā
yaañ varna jo hijāb hai parda hai saaz kā
rañg-e-shikasta sub.h-e-bahār-e-nazāra hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-hā-e-nāz kā
tū aur sū-e-ġhair nazar-hā-e-tez tez
maiñ aur dukh tirī mizha-hā-e-darāz kā
sarfa hai zabt-e-āh meñ merā vagarna meñ
to.ama huuñ ek hī nafas-e-jāñ-gudāz kā
haiñ bas-ki josh-e-bāda se shīshe uchhal rahe
har gosha-e-bisāt hai sar shīsha-bāz kā
kāvish kā dil kare hai taqāzā ki hai hunūz
nāḳhun pe qarz is girah-e-nīm-bāz kā
tārāj-e-kāvish-e-ġham-e-hijrāñ huā 'asad'
siina ki thā dafīna gohar-hā-e-rāz kā
Top Urdushayar.com