kahūñ jo haal to kahte ho mudda.ā kahiye
tumhīñ kaho ki jo tum yuuñ kaho to kyā kahiye
na kahiyo ta.an se phir tum ki ham sitamgar haiñ
mujhe to ḳhū hai ki jo kuchh kaho bajā kahiye
vo neshtar sahī par dil meñ jab utar jaave
nigāh-e-nāz ko phir kyuuñ na āshnā kahiye
nahīñ zarīya-e-rāhat jarāhat-e-paikāñ
vo zaḳhm-e-teġh hai jis ko ki dil-kushā kahiye
jo mudda.ī bane us ke na mudda.ī baniye
jo nā-sazā kahe us ko na nā-sazā kahiye
kahīñ haqīqat-e-jāñ-kāhī-e-maraz likhiye
kahīñ musībat-e-nā-sāzī-e-davā kahiye
kabhī shikāyat-e-ranj-e-girāñ-nashīñ kiije
kabhī hikāyat-e-sabr-e-gurez-pā kahiye
rahe na jaan to qātil ko ḳhūñ-bahā diije
kaTe zabān to ḳhanjar ko marhabā kahiye
nahīñ nigār ko ulfat na ho nigār to hai
ravānī-e-ravish o mastī-e-adā kahiye
nahīñ bahār ko fursat na ho bahār to hai
tarāvat-e-chaman o ḳhūbī-e-havā kahiye
safīna jab ki kināre pe aa lagā 'ġhālib'
ḳhudā se kyā sitam-o-jaur-e-nā-ḳhudā kahiye