Mirza Ghalib

nawed-e-amn hai bedad-e-dost jaan ke liye

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
naved-e-amn hai bedād-e-dost jaañ ke liye
rahī na tarz-e-sitam koī āsmāñ ke liye
balā se gar mizha-e-yār tishna-e-ḳhūñ hai
rakhūñ kuchh apnī bhī mizhgān-e-ḳhūñ fishāñ ke liye
vo zinda ham haiñ ki haiñ rū-shanās-e-ḳhalq ai ḳhizr
na tum ki chor bane umr-e-jāvedāñ ke liye
rahā balā meñ bhī maiñ mubtala-e-āfat-e-rashk
balā-e-jāñ hai adā terī ik jahāñ ke liye
falak na duur rakh us se mujhe ki maiñ hī nahīñ
darāz-dasti-e-qātil ke imtihāñ ke liye
misāl ye mirī koshish kī hai ki murġh-e-asīr
kare qafas meñ farāham ḳhas āshiyāñ ke liye
gadā samajh ke vo chup thā mirī jo shāmat aa.ī
uThā aur uTh ke qadam maiñ ne pāsbāñ ke liye
ba-qadr-e-shauq nahīñ zarf-e-tangnā-e-ġhazal
kuchh aur chāhiye vus.at mire bayāñ ke liye
diyā hai ḳhalq ko bhī tā use nazar na lage
banā hai aish tajammul husain ḳhaañ ke liye
zabāñ pe bār-e-ḳhudāyā ye kis kā naam aayā
ki mere nutq ne bose mirī zabāñ ke liye
nasīr-e-daulat-o-dīñ aur muīn-e-millat-o-mulk
banā hai charḳh-e-barīñ jis ke āstāñ ke liye
zamāna ahd meñ us ke hai mahv-e-ārā.ish
baneñge aur sitāre ab āsmāñ ke liye
varaq tamām huā aur mad.h baaqī hai
safīna chāhiye is bahr-e-be-karāñ ke liye
adā-e-ḳhās se 'ġhālib' huā hai nukta-sarā
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye
Top Urdushayar.com