Mirza Ghalib

jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
jis jā nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hai
naafā dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār hai
kis kā surāġh jalva hai hairat ko ai ḳhudā
ā.īna farsh-e-shash-jahat-e-intizār hai
hai zarra zarra tañgi-e-jā se ġhubār-e-shauq
gar daam ye hai vus.at-e-sahrā shikār hai
dil mudda.ī o diida banā mudda.ā-alaih
nazzāre kā muqaddama phir rū-ba-kār hai
chhiḌke hai shabnam ā.īna-e-barg-e-gul par aab
ai andalīb vaqt-e-vadā-e-bahār hai
pach aa paḌī hai vāda-e-dil-dār kī mujhe
vo aa.e yā na aa.e pe yaañ intizār hai
be-parda sū-e-vādi-e-majnūñ guzar na kar
har zarra ke naqāb meñ dil be-qarār hai
ai andalīb yak kaf-e-ḳhas bahr-e-āshyāñ
tūfān-e-āmad āmad-e-fasl-e-bahār hai
dil mat gañvā ḳhabar na sahī sair hī sahī
ai be-dimāġh ā.īna timsāl-dār hai
ġhaflat kafīl-e-umr o 'asad' zāmin-e-nashāt
ai marg-e-nā-gahāñ tujhe kyā intizār hai
Top Urdushayar.com