Mirza Ghalib

phir is andaz se bahaar aai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
phir is andāz se bahār aa.ī
ki hue mehr-o-mah tamāshā.ī
dekho ai sākinān-e-ḳhitta-e-ḳhāk
is ko kahte haiñ ālam-ārā.ī
ki zamīñ ho ga.ī hai sar-tā-sar
rū-kash-e-sat.h-e-charḳh-e-mīnā.ī
sabza ko jab kahīñ jagah na milī
ban gayā rū-e-āb par kaa.ī
sabza o gul ke dekhne ke liye
chashm-e-nargis ko dī hai bīnā.ī
hai havā meñ sharāb kī tāsīr
bāda-noshī hai bāda-paimā.ī
kyuuñ na duniyā ko ho ḳhushī 'ġhālib'
shāh-e-dīñ-dār ne shifā paa.ī
Top Urdushayar.com