Mirza Ghalib

zikr us pari-wash ka aur phir bayan apna

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
zikr us parī-vash kā aur phir bayāñ apnā
ban gayā raqīb āḳhir thā jo rāz-dāñ apnā
mai vo kyuuñ bahut piite bazm-e-ġhair meñ yā rab
aaj hī huā manzūr un ko imtihāñ apnā
manzar ik bulandī par aur ham banā sakte
arsh se udhar hotā kaash ke makāñ apnā
de vo jis qadar zillat ham hañsī meñ Tāleñge
baare āshnā niklā un kā pāsbāñ apnā
dard-e-dil likhūñ kab tak jā.ūñ un ko dikhlā duuñ
uñgliyāñ figār apnī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ apnā
ghiste ghiste miT jaatā aap ne abas badlā
nañg-e-sajda se mere sañg-e-āstāñ apnā
tā kare na ġhammāzī kar liyā hai dushman ko
dost kī shikāyat meñ ham ne ham-zabāñ apnā
ham kahāñ ke daanā the kis hunar meñ yaktā the
be-sabab huā 'ġhālib' dushman āsmāñ apnā
Top Urdushayar.com