Mirza Ghalib

juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
juz qais aur koī na aayā ba-rū-e-kār
sahrā magar ba-tañgi-e-chashm-e-hasūd thā
āshuftagī ne naqsh-e-suvaidā kiyā durust
zāhir huā ki daaġh kā sarmāya duud thā
thā ḳhvāb meñ ḳhayāl ko tujh se muāmla
jab aañkh khul ga.ī na ziyāñ thā na suud thā
letā huuñ maktab-e-ġham-e-dil meñ sabaq hanūz
lekin yahī ki raft gayā aur buud thā
Dhāñpā kafan ne dāġh-e-uyūb-e-barahnagī
maiñ varna har libās meñ nañg-e-vajūd thā
teshe baġhair mar na sakā kohkan 'asad'
sargashta-e-ḳhumār-e-rusūm-o-quyūd thā
aalam jahāñ ba-arz-e-bisāt-e-vajūd thā
juuñ sub.h chāk-e-jeb mujhe tār-o-pūd thā
bāzī-ḳhur-e-fareb hai ahl-e-nazar kā zauq
hañgāma garm-e-hairat-e-būd-o-nabūd thā
aalam tilism-e-shahr-e-ḳhamoshī hai sar-basar
yā maiñ ġharīb-e-kishvar-e-guft-o-shunūd thā
tañgī rafīq-e-rah thī adam yā vajūd thā
merā safar ba-tāla-e-chashm-e-hasūd thā
tū yak-jahāñ qamāsh-e-havas jam.a kar ki maiñ
hairat-matā-e-ālam-e-nuqsān-o-sūd thā
gardish-muhīt-e-zulm rahā jis qadar falak
maiñ pā.emāl-e-ġhamza-e-chashm-e-kabūd thā
pūchhā thā garche yaar ne ahvāl-e-dil magar
kis ko dimāġh-e-minnat-e-guft-o-shunūd thā
ḳhur shabnam-āshnā na huā varna maiñ 'asad'
sar-tā-qadam guzārish-e-zauq-e-sujūd thā
Top Urdushayar.com