Mirza Ghalib

tere tausan ko saba bandhte hain

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
ham bhī mazmūñ kī havā bāñdhte haiñ
aah kā kis ne asar dekhā hai
ham bhī ek apnī havā bāñdhte haiñ
terī fursat ke muqābil ai umr
barq ko pa-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid-e-hastī se rihā.ī ma.alūm
ashk ko be-sar-o-pā bāñdhte haiñ
nashsha-e-rañg se hai vāshud-e-gul
mast kab band-e-qabā bāñdhte haiñ
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ mat pūchh
log naale ko rasā bāñdhte haiñ
ahl-e-tadbīr kī vāmāndgiyāñ
ābloñ par bhī hinā bāñdhte haiñ
saada purkār haiñ ḳhūbāñ 'ġhālib'
ham se paimān-e-vafā bāñdhte haiñ
paañv meñ jab vo hinā bāñdhte haiñ
mere hāthoñ ko judā bāñdhte haiñ
husn-e-afsurda-dil-hā-rañgīñ
shauq ko pā-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid meñ bhī hai asīrī āzād
chashm-e-zanjīr ko vā bāñdhte haiñ
shaiḳh-jī ka.abe kā jaanā ma.alūm
aap masjid meñ gadhā bāñdhte haiñ
kis kā dil zulf se bhāgā ki 'asad'
dast-e-shāna ba-qazā bāñdhte haiñ
tere bīmār pe haiñ fariyādī
vo jo kāġhaz meñ davā bāñdhte haiñ
Top Urdushayar.com