gulshan ko tirī sohbat az-bas-ki ḳhush aa.ī hai
har ġhunche kā gul honā āġhosh-kushā.ī hai
vaañ kañgar-e-istiġhnā har-dam hai bulandī par
yaañ naale ko aur ulTā dāvā-e-rasā.ī hai
az-bas-ki sikhātā hai ġham zabt ke andāze
jo daaġh nazar aayā ik chasm-numā.ī hai