garm-e-fariyād rakhā shakl-e-nihālī ne mujhe
tab amaañ hijr meñ dī bard-e-layālī ne mujhe
nisyah-o-naqd-e-do-ālam kī haqīqat mālūm
le liyā mujh se mirī himmat-e-ālī ne mujhe
kasrat-ārā.i-e-vahdat hai parastārī-e-vahm
kar diyā kāfir in asnām-e-ḳhayālī ne mujhe
havas-e-gul ke tasavvur meñ bhī khaTkā na rahā
ajab ārām diyā be-par-o-bālī ne mujhe
zindagī meñ bhī rahā zauq-e-fanā kā maarā
nashsha baḳhshā ġhazab us sāġhar-e-ḳhālī ne mujhe
bas-ki thī fasl-e-ḳhizān-e-chamanistān-e-suḳhan
rañg-e-shohrat na diyā tāza-ḳhayālī ne mujhe
jalva-e-ḳhur se fanā hotī hai shabnam 'ġhālib'
kho diyā satvat-e-asmā-e-jalālī ne mujhe