rone se aur ishq meñ bebāk ho ga.e
dho.e ga.e ham itne ki bas paak ho ga.e
sarf-e-bahā-e-mai hue ālāt-e-mai-kashī
the ye hī do hisāb so yuuñ paak ho ga.e
rusvā-e-dahr go hue āvārgī se tum
baare tabī.atoñ ke to chālāk ho ga.e
kahtā hai kaun nāla-e-bulbul ko be-asar
parde meñ gul ke laakh jigar chaak ho ga.e
pūchhe hai kyā vajūd o adam ahl-e-shauq kā
aap apnī aag ke ḳhas-o-ḳhāshāk ho ga.e
karne ga.e the us se taġhāful kā ham gila
kī ek hī nigāh ki bas ḳhaak ho ga.e
is rañg se uThā.ī kal us ne 'asad' kī na.ash
dushman bhī jis ko dekh ke ġhamnāk ho ga.e