Mirza Ghalib

wan pahunch kar jo ghash aata pae-ham hai hum ko

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
vaañ pahuñch kar jo ġhash aatā pa.e-ham hai ham ko
sad-rah āhañg-e-zamīñ bos-e-qadam hai ham ko
dil ko maiñ aur mujhe dil mahv-e-vafā rakhtā hai
kis qadar zauq-e-giriftāri-e-ham hai ham ko
zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan
tire kūche se kahāñ tāqat-e-ram hai ham ko
jaan kar kiije taġhāful ki kuchh ummīd bhī ho
ye nigāh-e-ġhalat-andāz to sam hai ham ko
rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bāñg-e-hazīñ
nāla-e-murġh-e-sahar teġh-e-do-dam hai ham ko
sar uḌāne ke jo vaade ko mukarrar chāhā
hañs ke bole ki tire sar kī qasam hai ham ko
dil ke ḳhuuñ karne kī kyā vaj.h va-lekin nā-chār
pās-e-be-raunaqi-e-dīda aham hai ham ko
tum vo nāzuk ki ḳhamoshī ko fuġhāñ kahte ho
ham vo aajiz ki taġhāful bhī sitam hai ham ko
lucknow aane kā baa.is nahīñ khultā yaanī
havas-e-sair-o-tamāshā so vo kam hai ham ko
maqta-e-silsila-e-shauq nahīñ hai ye shahr
azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai ham ko
liye jaatī hai kahīñ ek tavaqqo 'ġhālib'
jāda-e-rah kashish-e-kāf-e-karam hai ham ko
abr rotā hai ki bazm-e-tarab āmāda karo
barq hañstī hai ki fursat koī dam hai ham ko
Top Urdushayar.com