manzūr thī ye shakl tajallī ko nuur kī
qismat khulī tire qad-o-ruḳh se zuhūr kī
ik ḳhūñ-chakāñ kafan meñ karoḌoñ banāo haiñ
paḌtī hai aañkh tere shahīdoñ pe huur kī
vaa.iz na tum piyo na kisī ko pilā sako
kyā baat hai tumhārī sharāb-e-tahūr kī
laḌtā hai mujh se hashr meñ qātil ki kyuuñ uThā
goyā abhī sunī nahīñ āvāz suur kī
aamad bahār kī hai jo bulbul hai naġhma-sañj
uḌtī sī ik ḳhabar hai zabānī tuyūr kī
go vaañ nahīñ pa vaañ ke nikāle hue to haiñ
ka.abe se in butoñ ko bhī nisbat hai duur kī
kyā farz hai ki sab ko mile ek sā javāb
aao na ham bhī sair kareñ koh-e-tūr kī
garmī sahī kalām meñ lekin na is qadar
kī jis se baat us ne shikāyat zarūr kī
'ġhālib' gar is safar meñ mujhe saath le chaleñ
haj kā savāb nazr karūñgā huzūr kī