Mirza Ghalib

larazta hai mera dil zahmat-e-mehr-e-daraKHshan par

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par
maiñ huuñ vo qatra-e-shabnam ki ho ḳhār-e-bayābāñ par
na chhoḌī hazrat-e-yūsuf ne yaañ bhī ḳhāna-ārā.ī
safedī dīda-e-yāqūb kī phirtī hai zindāñ par
fanā tālīm-e-dars-e-be-ḳhudī huuñ us zamāne se
ki majnūñ laam alif likhtā thā dīvār-e-dabistāñ par
farāġhat kis qadar rahtī mujhe tashvīsh-e-marham se
baham gar sulh karte pāra-hā-e-dil namak-dāñ par
nahīñ iqlīm-e-ulfat meñ koī tūmār-e-nāz aisā
ki pusht-e-chashm se jis kī na hove mohr unvāñ par
mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-ālūda yaad aayā
ki furqat meñ tirī ātish barastī thī gulistāñ par
ba-juz parvāz-e-shauq-e-nāz kyā baaqī rahā hogā
qayāmat ik havā-e-tund hai ḳhāk-e-shahīdāñ par
na laḌ nāseh se 'ġhālib' kyā huā gar us ne shiddat kī
hamārā bhī to āḳhir zor chaltā hai garebāñ par
dil-e-ḳhūnīñ-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaġhnī
ilāhī yak qayāmat ḳhāvar aa TuuTe badaḳhshāñ par
'asad' ai be-tahammul arbada be-jā hai nāseh se
ki āḳhir be-kasoñ kā zor chaltā hai garebāñ par
Top Urdushayar.com