Mirza Ghalib

nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
naala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ
hai taqāzā-e-jafā shikva-e-bedād nahīñ
ishq-o-mazdūri-e-ishrat-gah-e-ḳhusruv kyā ḳhuub
ham ko taslīm niko-nāmi-e-farhād nahīñ
kam nahīñ vo bhī ḳharābī meñ pa vus.at mālūm
dasht meñ hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahīñ
ahl-e-bīnash ko hai tūfān-e-havādis maktab
lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustād nahīñ
vaa.e mahrūmi-e-taslīm-o-badā hāl-e-vafā
jāntā hai ki hameñ tāqat-e-faryād nahīñ
rañg-e-tamkīn-e-gul-o-lālā pareshāñ kyuuñ hai
gar charāġhān-e-sar-e-rah-guzar-e-bād nahīñ
sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchīñ
muzhda ai murġh ki gulzār meñ sayyād nahīñ
nafi se kartī hai isbāt tarāvish goyā
dī hai jā-e-dahn us ko dam-e-ījād nahīñ
kam nahīñ jalvagarī meñ tire kūche se bahisht
yahī naqsha hai vale is qadar ābād nahīñ
karte kis muñh se ho ġhurbat kī shikāyat 'ġhālib'
tum ko be-mehri-e-yārān-e-vatan yaad nahīñ
Top Urdushayar.com