Mirza Ghalib

muddat hui hai yar ko mehman kiye hue

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue
josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue
phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam
barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas
muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq
sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil
sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqīb
nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai
pindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl
sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnā
jaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havas
zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū
surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh
chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ
sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din
baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se
baiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue
Top Urdushayar.com