māna-e-dasht-navardī koī tadbīr nahīñ
ek chakkar hai mire paañv meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñ
jaada ġhair az nigah-e-dīda-e-tasvīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jaatī hai
jāda-e-rāh-e-vafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāved gavārā rahiyo
ḳhush huuñ gar nāla-zabūnī kash-e-tāsīr nahīñ
sar khujātā hai jahāñ zaḳhm-e-sar achchhā ho jaa.e
lazzat-e-sañg ba-andāza-e-taqrīr nahīñ
jab karam ruḳhsat-e-bebākī-o-gustāḳhī de
koī taqsīr ba-juz ḳhajlat-e-taqsīr nahīñ
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' ke sher kā ahvāl kahūñ kyā 'ġhālib'
jis kā dīvān kam-az-gulshan-e-kashmīr nahīñ
ā.īna daam ko parde meñ chhupātā hai abas
ki parī-zād-e-nazar qābil-e-tasḳhīr nahīñ
misl-e-gul zaḳhm hai merā bhī sināñ se tavvām
terā tarkash hī kuchh ābistanī-e-tīr nahīñ