hai sabza-zār har dar-o-dīvār-e-ġham-kada
jis kī bahār ye ho phir us kī ḳhizāñ na pūchh
nā-chār bekasī kī bhī hasrat uThā.iye
dushvāri-e-rah-o-sitam-e-ham-rahāñ na pūchh
juz dil surāġh-e-dard ba-dil-ḳhuftagāñ na pūchh
ā.īna arz kar ḳhat-o-ḳhāl-e-bayāñ na pūchh
hindostān sāya-e-gul pā-e-taḳht thā
jāh-o-jalāl-e-ahd-e-visāl-e-butāñ na pūchh
ġhaflat-matā-e-kaffa-e-mīzān-e-adl huuñ
yā rab hisāb-e-saḳhti-e-ḳhvāb-e-girāñ na pūchh
har dāġh-e-tāza yak-dil-e-dāġh intizār hai
arz-e-fazā-e-sīna-e-dard imtihāñ na pūchh
kahtā thā kal vo mahram-e-rāz apne se ki aah
dard-e-judā.i-e-'asad'-ullāh-ḳhāñ na pūchh
parvāz-e-yak-tap-e-ġham-e-tasḳhīr-e-nāla hai
garmī-e-nabz-e-nabz-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ na pūchh
tū mashq-e-bāz kar dil-e-parvāna hai bahār
betābī-e-tajallī-e-ātish-ba-jāñ na pūchh