Mirza Ghalib

shab ki wo majlis-faroz-e-KHalwat-e-namus tha

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
shab ki vo majlis-faroz-e-ḳhalvat-e-nāmūs thā
rishta-e-har-sham.a ḳhār-e-kisvat-e-fānūs thā
mash.had-e-āshiq se kosoñ tak jo ugtī hai hinā
kis qadar yā-rab halāk-e-hasrat-e-pā-bos thā
hāsil-e-ulfat na dekhā juz-shikast-e-ārzū
dil-ba-dil paivasta goyā yak lab-e-afsos thā
kyā kahūñ bīmārī-e-ġham kī farāġhat kā bayāñ
jo ki khāyā ḳhūn-e-dil be-minnat-e-kaimūs thā
Top Urdushayar.com