zikr merā ba-badī bhī use manzūr nahīñ
ġhair kī baat bigaḌ jaa.e to kuchh duur nahīñ
vada-e-sair-e-gulistāñ hai ḳhushā tāle-e-shauq
muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkūr nahīñ
shāhid-e-hastī-e-mutlaq kī kamar hai aalam
log kahte haiñ ki hai par hameñ manzūr nahīñ
qatra apnā bhī haqīqat meñ hai dariyā lekin
ham ko taqlīd-e-tunuk-zarfi-e-mansūr nahīñ
hasrat ai zauq-e-ḳharābī ki vo tāqat na rahī
ishq-e-pur-arbada kī guuñ tan-e-ranjūr nahīñ
maiñ jo kahtā huuñ ki ham leñge qayāmat meñ tumheñ
kis ra.ūnat se vo kahte haiñ ki ham huur nahīñ
zulm kar zulm agar lutf dareġh aatā ho
tū taġhāful meñ kisī rañg se ma.azūr nahīñ
saaf durdi-kash-e-paimāna-e-jam haiñ ham log
vaa.e vo baada ki afsharda-e-añgūr nahīñ
huuñ zuhūrī ke muqābil meñ ḳhifā.ī 'ġhālib'
mere da.ave pe ye hujjat hai ki mash.hūr nahīñ