tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho
mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho
bachte nahīñ muvāḳhaza-e-roz-e-hashr se
qātil agar raqīb hai to tum gavāh ho
kyā vo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñ
maanā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o maah ho
ubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek taar
martā huuñ maiñ ki ye na kisī kī nigāh ho
jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah kī qaid
masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho
sunte haiñ jo bahisht kī tārīf sab durust
lekin ḳhudā kare vo tirā jalva-gāh ho
'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñ
duniyā ho yā rab aur mirā bādshāh ho