Mirza Ghalib

jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
jāda-e-rah ḳhur ko vaqt-e-shām hai tār-e-shuā.a
charḳh vā kartā hai māh-e-nau se āġhosh-e-vidā.a
sham.a se hai bazm-e-añgusht-e-tahayyur dar dahan
sho.ala-e-āvāz-e-ḳhūbāñ par ba-hañgām-e-simā.a
juuñ par-e-tā.ūs jauhar taḳhta mashq-e-rañg hai
bas-ki hai vo qibla-e-ā.īna mahv-e-iḳhtirā.a
ranjish-e-hairat-sarishtāñ sīna-sāfī peshkash
jauhar-e-ā.īna hai yaañ gard-e-maidān-e-nazā.a
chaar sū-e-dahr meñ bāzār-e-ġhaflat garm hai
aql ke nuqsāñ se uThtā hai ḳhayāl-e-intifā.a
āshnā 'ġhālib' nahīñ haiñ dard-e-dil ke āshnā
varna kis ko mere afsāne kī tāb-e-istimā.a
Top Urdushayar.com