gar ḳhāmushī se fā.eda iḳhfā-e-hāl hai
ḳhush huuñ ki merī baat samajhnī muhāl hai
kis ko sunā.ūñ hasrat-e-iz.hār kā gila
dil fard-e-jama-o-ḳharch zabāñ-hā-e-lāl hai
kis parde meñ hai ā.ina-pardāz ai ḳhudā
rahmat ki uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl hai
hai hai ḳhudā-na-ḳhvāsta vo aur dushmanī
ai shauq-e-munfa.il ye tujhe kyā ḳhayāl hai
mushkīñ libās-e-kāba alī ke qadam se jaan
nāf-e-zamīn hai na ki nāf-e-ġhazāl hai
vahshat pe merī arsa-e-āfāq tañg thā
dariyā zamīn ko araq-e-infi.āl hai
hastī ke mat fareb meñ aa jā.iyo 'asad'
aalam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai
pahlū-tahī na kar ġham-o-andoh se 'asad'
dil vaqf-e-dard kar ki faqīroñ kā maal hai