pa.e-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-nā-rasā.ī kā
ba-ḳhūñ-ġhaltīda-e-sad-rañg da.avā pārsā.ī kā
na ho husn-e-tamāshā-dost rusvā bevafā.ī kā
ba-mohr-e-sad-nazar sābit hai da.avā pārsā.ī kā
zakāt-e-husn de ai jalva-e-bīnish ki mehr-āsā
charāġh-e-ḳhāna-e-darvesh ho kaasa gadā.ī kā
na maarā jaan kar be-jurm ġhāfil terī gardan par
rahā mānind-e-ḳhūn-e-be-gunah haq āshnā.ī kā
tamannā-e-zabāñ mahv-e-sipās-e-be-zabānī hai
miTā jis se taqāzā shikva-e-be-dast-o-pā.ī kā
vahī ik baat hai jo yaañ nafas vaañ nik.hat-e-gul hai
chaman kā jalva baa.is hai mirī rañgīñ-navā.ī kā
dahān-e-har-but-e-paiġhāra-jū zanjīr-e-rusvā.ī
adam tak bevafā charchā hai terī bevafā.ī kā
na de naale ko itnā tuul 'ġhālib' muḳhtasar likh de
ki hasrat-sanj huuñ arz-e-sitam-hā-e-judā.ī kā
jahāñ miT jaa.e sa.ī-e-dīd ḳhizrābād-e-āsā.ish
ba-jeb-e-har-nigah pinhāñ hai hāsil rahnumā.ī kā
ba-ijz-ābād vahm-e-mudda.ā taslī-e-shoḳhī hai
taġhāful ko na kar masrūf-e-tamkīñ-āzmā.ī kā
'asad' kā qissa tūlānī hai lekin muḳhtasar ye hai
ki hasrat-kash rahā arz-e-sitam-hā-e-judā.ī kā
havas gustāḳhī-e-ā.īna taklīf-e-nazar-bāzī
ba-jeb-e-ārzū pinhāñ hai hāsil dilrubā.ī kā
nazar-bāzī tilism-e-vahshat-ābād-e-paristāñ hai
rahā begāna-e-tāsīr afsūñ āshnā.ī kā
na paayā dardmand-e-dūrī-e-yārān-e-yak-dil ne
savād-e-ḳhatt-e-peshānī se nusḳha momyā.ī kā
'asad' ye ijz-o-be-sāmānī-e-fir.aun-e-tauam hai
jise tū bandagī kahtā hai da.avā hai ḳhudā.ī kā