dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.ī
donoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
shaq ho gayā hai siina ḳhushā lazzat-e-farāġh
taklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar ga.ī
vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñ
uThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
uḌtī phire hai ḳhaak mirī kū-e-yār meñ
baare ab ai havā havas-e-bāl-o-par ga.ī
dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pā
mauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar ga.ī
har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kī
ab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kā
mastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
fardā o dī kā tafraqa yak baar miT gayā
kal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī
maarā zamāne ne asadullāh ḳhaañ tumheñ
vo valvale kahāñ vo javānī kidhar ga.ī