Mirza Ghalib

ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhair
jānegā ab bhī tū na mirā ghar kahe baġhair
kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan
jānūñ kisī ke dil kī maiñ kyūñkar kahe baġhair
kaam us se aa paḌā hai ki jis kā jahān meñ
leve na koī naam sitamgar kahe baġhair
jī meñ hī kuchh nahīñ hai hamāre vagarna ham
sar jaa.e yā rahe na raheñ par kahe baġhair
chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir kā pūjnā
chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair
maqsad hai nāz-o-ġhamza vale guftugū meñ kaam
chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair
har chand ho mushāhida-e-haq kī guftugū
bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair
bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho iltifāt
suntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe baġhair
'ġhālib' na kar huzūr meñ tū baar baar arz
zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair
Top Urdushayar.com