na gul-e-naġhma huuñ na parda-e-sāz
maiñ huuñ apnī shikast kī āvāz
tū aur ārā.ish-e-ḳham-e-kākul
maiñ aur andesha-hā-e-dūr-darāz
lāf-e-tamkīñ fareb-e-sāda-dilī
ham haiñ aur rāz-hā-e-sīna-gudāz
huuñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād
varna baaqī hai tāqat-e-parvāz
vo bhī din ho ki us sitamgar se
naaz khīñchūñ bajā.e hasrat-e-nāz
nahīñ dil meñ mire vo qatra-e-ḳhūñ
jis se mizhgāñ huī na ho gul-bāz
ai tirā ġhamza yak-qalam-añgez
ai tirā zulm sar-ba-sar andāz
tū huā jalva-gar mubārak ho
rezish-e-sajda-e-jabīn-e-niyāz
mujh ko pūchhā to kuchh ġhazab na huā
maiñ ġharīb aur tū ġharīb-navāz
'asad'-ullāh ḳhaañ tamām huā
ai dareġhā vo rind-e-shāhid-bāz