jarāhat-tohfa almās-armuġhāñ dāġh-e-jigar hadiya
mubārakbād 'asad' ġham-ḳhvār-e-jān-e-dardmand aayā
junūñ garm intizār o naala betābī kamand aayā
suvaidā tā ba-lab zanjīrī duud sipand aayā
mah aḳhtar fashāñ kī bahr istiqbāl āñkhoñ se
tamāshā kishvar ā.īna meñ ā.īna band aayā
taġhāful bad-gumānī balki merī saḳht jaanī se
nigāh be hijāb naaz ko biim gazand aayā
fazā ḳhanda gul tañg o zauq aish be pardā
farāġhat gaah āġhosh vidā.a dil pasand aayā
adam hai ḳhair ḳhvāh jalva ko zindān betābi
ḳhirām naaz barq ḳhirman sa.ī sipand aayā