Mirza Ghalib

surma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
surma-e-muft-e-nazar huuñ mirī qīmat ye hai
ki rahe chashm-e-ḳharīdār pe ehsāñ merā
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālim
tere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā meñ hai jaulāñ merā
ḳhuuñ hai dil tañgī-e-vahshat se bayābāñ merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai
arz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ hai garebāñ merā
fahm zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil hai yā-rab
kis zabāñ meñ hai laqab ḳhvāb-e-pareshāñ merā
Top Urdushayar.com