Mirza Ghalib

hairan hun dil ko roun ki piTun jigar ko main

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hairāñ huuñ dil ko ro.uuñ ki pīTūñ jigar ko maiñ
maqdūr ho to saath rakhūñ nauhagar ko maiñ
chhoḌā na rashk ne ki tire ghar kā naam luuñ
har ik se pūchhtā huuñ ki jā.ūñ kidhar ko maiñ
jaanā paḌā raqīb ke dar par hazār baar
ai kaash jāntā na tire rah-guzar ko maiñ
hai kyā jo kas ke bāñdhiye merī balā Dare
kyā jāntā nahīñ huuñ tumhārī kamar ko maiñ
lo vo bhī kahte haiñ ki ye be-nañg-o-nām hai
ye jāntā agar to luTātā na ghar ko maiñ
chaltā huuñ thoḌī duur har ik tez-rau ke saath
pahchāntā nahīñ huuñ abhī rāhbar ko maiñ
ḳhvāhish ko ahmaqoñ ne parastish diyā qarār
kyā pūjtā huuñ us but-e-bedād-gar ko maiñ
phir be-ḳhudī meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yār
jaatā vagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ
apne pe kar rahā huuñ qayās ahl-e-dahr kā
samjhā huuñ dil-pazīr mata-e-hunar ko maiñ
'ġhālib' ḳhudā kare ki savār-e-samand-e-nāz
dekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñ
Top Urdushayar.com