Mirza Ghalib

dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
dil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayā
ātish-e-ḳhāmosh kī mānind goyā jal gayā
dil meñ zauq-e-vasl o yād-e-yār tak baaqī nahīñ
aag is ghar meñ lagī aisī ki jo thā jal gayā
maiñ adam se bhī pare huuñ varna ġhāfil bār-hā
merī āh-e-ātishīñ se bāl-e-unqā jal gayā
arz kiije jauhar-e-andesha kī garmī kahāñ
kuchh ḳhayāl aayā thā vahshat kā ki sahrā jal gayā
dil nahīñ tujh ko dikhātā varna dāġhoñ kī bahār
is charāġhāñ kā karūñ kyā kār-farmā jal gayā
maiñ huuñ aur afsurdagī kī aarzū 'ġhālib' ki dil
dekh kar tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
ḳhānmān-e-āshiqāñ dūkān-e-ātish-bāz hai
shola-rū jab ho ga.e garm-e-tamāshā jal gayā
tā kujā afsos-e-garmī-hā-e-sohbat ai ḳhayāl
dil ba-soz-e-ātish-e-dāġh-e-tamannā jal gayā
hai 'asad' begāna-e-afsurdagī ai bekasī
dil z-andāz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā jal gayā
duud merā sumbulistāñ se kare hai ham-sarī
bas-ki shauq-e-ātish-e-gul se sarāpā jal gayā
sham.a-rūyāñ kī sar-añgusht-e-hinā.ī dekh kar
ġhuncha-e-gul par-fishāñ parvāna-āsā jal gayā
Top Urdushayar.com