vo aa ke ḳhvāb meñ taskīn-e-iztirāb to de
vale mujhe tapish-e-dil majāl-e-ḳhvāb to de
kare hai qatl lagāvaT meñ terā ro denā
tirī tarah koī teġh-e-nigah ko aab to de
dikhā ke jumbish-e-lab hī tamām kar ham ko
na de jo bosa to muñh se kahīñ javāb to de
pilā de ok se saaqī jo ham se nafrat hai
piyāla gar nahīñ detā na de sharāb to de
'asad' ḳhushī se mire haath paañv phuul ga.e
kahā jo us ne zarā mere paañv daab to de
ye kaun kahve hai ābād kar hameñ lekin
kabhī zamāna murād-e-dil-e-ḳharāb to de