Mirza Ghalib

zamana saKHt kam-azar hai ba-jaan-e-asad

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
zamāna saḳht kam-āzār hai ba-jān-e-asad
vagarna ham to tavaqqo.a ziyāda rakhte haiñ
tan-e-ba-band-e-havas dar nadāda rakhte haiñ
dil-e-z-kār-e-jahāñ ūftāda rakhte haiñ
tamīz-e-zishti-o-nekī meñ laakh bāteñ haiñ
ba-aks-e-ā.ina yak-fard-e-sāda rakhte haiñ
ba-rañg-e-sāya hameñ bandagī meñ hai taslīm
ki dāġh-e-dil ba-jabīn-e-kushāda rakhte haiñ
ba-zāhidāñ rag-e-gardan hai rishta-e-zunnār
sar-e-ba-pā-e-but-e-nā-nihāda rakhte haiñ
muāf-e-be-hūda-goī haiñ nāsehān-e-azīz
dil-e-ba-dast-e-nigāre nadāda rakhte haiñ
ba-rañg-e-sabza azīzān-e-bad-zabāñ yak-dast
hazār teġh-e-ba-zahr-āb-dāda rakhte haiñ
adab ne sauñpī hameñ surma-sā.i-e-hairat
z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushāda rakhte haiñ
Top Urdushayar.com