Mirza Ghalib

shikwe ke nam se be-mehr KHafa hota hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
shikve ke naam se be-mehr ḳhafā hotā hai
ye bhī mat kah ki jo kahiye to gila hotā hai
pur huuñ maiñ shikve se yuuñ raag se jaise baajā
ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai
go samajhtā nahīñ par husn-e-talāfī dekho
shikva-e-jaur se sargarm-e-jafā hotā hai
ishq kī raah meñ hai charḳh-e-makaukab kī vo chaal
sust-rau jaise koī ābla-pā hotā hai
kyuuñ na Thahreñ hadaf-e-nāvak-e-bedād ki ham
aap uThā laate haiñ gar tiir ḳhatā hotā hai
ḳhuub thā pahle se hote jo ham apne bad-ḳhvāh
ki bhalā chāhte haiñ aur burā hotā hai
naala jaatā thā pare arsh se merā aur ab
lab tak aatā hai jo aisā hī rasā hotā hai
ḳhāma merā ki vo hai bār-bud-e-bazm-e-suḳhan
shaah kī mad.h meñ yuuñ naġhma-sarā hotā hai
ai shahanshāh-e-kavākib sipah-o-mehr-e-alam
tere ikrām kā haq kis se adā hotā hai
saat aqlīm kā hāsil jo farāham kiije
to vo lashkar kā tire nāl-e-bahā hotā hai
har mahīne meñ jo ye badr se hotā hai hilāl
āstāñ par tire mah nāsiya sā hotā hai
maiñ jo gustāḳh huuñ ā.īn-e-ġhazal-ḳhvānī meñ
ye bhī terā hī karam zauq-fazā hotā hai
rakhiyo 'ġhālib' mujhe is talḳh-navā.ī meñ muaaf
aaj kuchh dard mire dil meñ sivā hotā hai
Top Urdushayar.com