Mirza Ghalib

har qadam duri-e-manzil hai numayan mujhse

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
har qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujh se
merī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se
dars-e-unvān-e-tamāshā ba-taġhāful ḳhush-tar
hai nigah rishta-e-shīrāza-e-mizhgāñ mujh se
vahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhā.ī meñ
sūrat-e-dūd rahā saaya gurezāñ mujh se
ġham-e-ushshāq na ho sādgī-āmoz-e-butāñ
kis qadar ḳhāna-e-ā.īna hai vīrāñ mujh se
asar-e-ābla se jāda-e-sahrā-e-junūñ
sūrat-e-rishta-e-gauhar hai charāġhāñ mujh se
be-ḳhudī bistar-e-tamhīd-e-farāġhat ho jo
pur hai saa.e kī tarah merā shabistāñ mujh se
shauq-e-dīdār meñ gar tū mujhe gardan maare
ho nigah misl-e-gul-e-shamā pareshāñ mujh se
bekasī-hā-e-shab-e-hijr kī vahshat hai hai
saaya ḳhurshīd-e-qayāmat meñ hai pinhāñ mujh se
gardish-e-sāġhar-e-sad-jalva-e-rañgīñ tujh se
ā.ina-dārī-e-yak-dīda-e-hairāñ mujh se
nigah-e-garm se ek aag Tapaktī hai 'asad'
hai charāġhāñ ḳhas-o-ḳhāshāk-e-gulistāñ mujh se
bastan-e-ahd-e-mohabbat hama nā-dānī thā
chashm-e-nakushūda rahā uqda-e-paimāñ mujh se
ātish-afrozi-e-yak-shola-e-īmā tujh se
chashmak-ārā.i-e-sad-shahr charāġhāñ mujh se
Top Urdushayar.com