raftār-e-umr qat-e-rah-e-iztirāb hai
is saal ke hisāb ko barq āftāb hai
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār se
bāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
zaḳhmī huā hai pāshna pā-e-sabāt kā
ne bhāgne kī guuñ na iqāmat kī taab hai
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ hai shash-jihat
ġhāfil gumāñ kare hai ki getī ḳharāb hai
nazzāra kyā harīf ho us barq-e-husn kā
josh-e-bahār jalve ko jis ke naqāb hai
maiñ nā-murād dil kī tasallī ko kyā karūñ
maanā ki tere ruḳh se nigah kāmyāb hai
guzrā 'asad' masarrat-e-paiġhām-e-yār se
qāsid pe mujh ko rashk-e-savāl-o-javāb hai
zāhir hai tarz-e-qaid se sayyād kī ġharaz
jo daana daam meñ hai so ashk-e-kabāb hai
be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-lāla-zār
ya.anī ye har varaq varaq-e-intiḳhāb hai