ġham nahīñ hotā hai āzādoñ ko besh az-yak-nafas
barq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham
mahfileñ barham kare hai ganjifa-bāz-e-ḳhayāl
haiñ varaq-gardānī-e-nairañg-e-yak-but-ḳhāna ham
bāvajūd-e-yak-jahāñ hañgāma paidā.ī nahīñ
haiñ charāġhān-e-shabistān-e-dil-e-parvāna ham
zo.af se hai ne qanā.at se ye tark-e-justujū
haiñ vabāl-e-takiya-gāh-e-himmat-e-mardāna ham
dā.im-ul-habs is meñ haiñ lākhoñ tamannā.eñ 'asad'
jānte haiñ sīna-e-pur-ḳhūñ ko zindāñ-ḳhana ham
bas-ki haiñ bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-ḳhāna ham
mū-e-shīsha ko samajhte haiñ ḳhat-e-paimāna ham
bas-ki har-yak-mū-e-zulf-afshāñ se hai tār-e-shuā.a
panja-e-ḳhurshīd ko samjhe haiñ dast-e-shāna ham
mashq-e-az-ḳhūd-raftagī se haiñ ba-gulzār-e-ḳhayāl
āshnā tabīr-e-ḳhvāb-e-sabza-e-begāna ham
fart-e-be-ḳhvābī se haiñ shab-hā-e-hijr-e-yār meñ
juuñ zabān-e-sham.a dāġh-e-garmi-e-afsāna ham
shām-e-ġham meñ soz-e-ishq-e-ātish-e-ruḳhsār se
par-fashān-e-soḳhtan haiñ sūrat-e-parvāna ham
hasrat-e-arz-e-tamannā yaañ se samjhā chāhiye
do-jahāñ hashr-e-zabān-e-ḳhushk haiñ juuñ shāna ham
kashti-e-ālam ba-tūfān-e-taġhāful de ki haiñ
ālam-e-āb-e-gudāz-e-jauhar-e-afsāna ham
vahshat-e-be-rabti-e-pech-o-ḳham-e-hastī na pūchh
nañg-e-bālīdan haiñ juuñ mū-e-sar-e-dīvāna ham