Krishn Bihari Noor

uski dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
us kī dhun meñ har taraf bhāgā kiyā dauḌā kiyā
ek buuñd amrit kī ḳhātir maiñ samundar pī gayā
ik taraf qānūn hai aur ik taraf insān hai
ḳhatm hotā hī nahīñ jurm-o-sazā kā silsila
avval-o-āḳhir ke kuchh aurāq milte hī nahīñ
hai kitāb-e-zindagī be-ibtidā be-intihā
phuul meñ rañgat bhī thī ḳhushbū bhī thī aur husn bhī
us ne āvāzeñ to diiñ lekin kahāñ maiñ sun sakā
maiñ to chhoTā huuñ jhukā dūñgā kabhī bhī apnā sar
sab baḌe ye tai to kar leñ kaun hai sab se baḌā
jaise an-dekhe ujāle kī koī dīvār ho
band ho jaatā hai kuchh duurī pe har ik rāstā
husn-o-ulfat donoñ haiñ ab ek sat.h par magar
ā.ina-dar-ā.īna bas ā.ina-dar-ā.īna
jab na mujh se ban sakī us tak rasā.ī kī sabīl
ek din maiñ ḳhud hī apne rāste se haT gayā
zindābād ai dil mire maiñ bhī huuñ tujh se muttafiq
pyaar sachchā hai to phir kaisī vafā kaisī jafā
haañ magar tasdīq meñ umreñ guzar jaatī haiñ 'nūr'
kuchh na kuchh rahtā hai sab ko apnī manzil kā patā
Top Urdushayar.com