dard se mere hai tujh ko be-qarārī haa.e haa.e
kyā huī zālim tirī ġhaflat-shi.ārī haa.e haa.e
tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla
tū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e
kyuuñ mirī ġham-ḳhvārgī kā tujh ko aayā thā ḳhayāl
dushmanī apnī thī merī dost-dārī haa.e haa.e
umr bhar kā tū ne paimān-e-vafā bāñdhā to kyā
umr ko bhī to nahīñ hai pā.edārī haa.e haa.e
zahr lagtī hai mujhe āb-o-havā-e-zindagī
ya.anī tujh se thī ise nā-sāzgārī haa.e haa.e
gul-fishānī-hā-e-nāz-e-jalva ko kyā ho gayā
ḳhaak par hotī hai terī lāla-kārī haa.e haa.e
sharm-e-rusvā.ī se jā chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñ
ḳhatm hai ulfat kī tujh par parda-dārī haa.e haa.e
ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.ī
uTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e haa.e
haath hī teġh-āzmā kā kaam se jaatā rahā
dil pe ik lagne na paayā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e
kis tarah kaaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigāl
hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī haa.e haa.e
gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamāl
ek dil tis par ye nā-ummīd-vārī haa.e haa.e
ishq ne pakḌā na thā 'ġhālib' abhī vahshat kā rañg
rah gayā thā dil meñ jo kuchh zauq-e-ḳhvārī haa.e haa.e