dard minnat-kash-e-davā na huā
maiñ na achchhā huā burā na huā
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko
ik tamāshā huā gila na huā
ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ
tū hī jab ḳhanjar-āzmā na huā
kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb
gāliyāñ khā ke be-mazā na huā
hai ḳhabar garm un ke aane kī
aaj hī ghar meñ boriyā na huā
kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thī
bandagī meñ mirā bhalā na huā
jaan dī dī huī usī kī thī
haq to yuuñ hai ki haq adā na huā
zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā
kaam gar ruk gayā ravā na huā
rahzanī hai ki dil-sitānī hai
le ke dil dil-sitāñ ravāna huā
kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ
aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā