satā.ish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizvāñ kā
vo ik guldasta hai ham be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ kā
bayāñ kyā kījiye be-dād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ kā
ki har yak qatra-e-ḳhūñ daana hai tasbīh-e-marjāñ kā
na aa.ī satvat-e-qātil bhī maane mere nāloñ ko
liyā dāñtoñ meñ jo tinkā huā resha niyastāñ kā
dikhā.ūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne ne
mirā har dāġh-e-dil ik tuḳhm hai sarv-e-charāġhāñ kā
kiyā ā.īna-ḳhāne kā vo naqsha tere jalve ne
kare jo partav-e-ḳhurshīd aalam shabnamistāñ kā
mirī ta.amīr meñ muzmar hai ik sūrat ḳharābī kī
hayūlā barq-e-ḳhirman kā hai ḳhūn-e-garm dahqāñ kā
ugā hai ghar meñ har sū sabza vīrānī tamāshā kar
madār ab khodne par ghaas ke hai mere darbāñ kā
ḳhamoshī meñ nihāñ ḳhūñ-gashta lākhoñ ārzūeñ haiñ
charāġh-e-murdā huuñ maiñ be-zabāñ gor-e-ġharībāñ kā
hanūz ik partav-e-naqsh-e-ḳhayāl-e-yār baaqī hai
dil-e-afsurda goyā hujra hai yūsuf ke zindāñ kā
baġhal meñ ġhair kī aaj aap sote haiñ kahīñ varna
sabab kyā ḳhvāb meñ aa kar tabassum-hā-e-pinhāñ kā
nahīñ ma.alūm kis kis kā lahū paanī huā hogā
qayāmat hai sarishk-ālūda honā terī mizhgāñ kā
nazar meñ hai hamārī jāda-e-rāh-e-fanā 'ġhālib'
ki ye shīrāza hai aalam ke ajzā-e-pareshāñ kā