Mirza Ghalib

simab-pusht garmi-e-aina de hai hum

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
sīmāb-pusht garmi-e-ā.īna de hai ham
hairāñ kiye hue haiñ dil-e-be-qarār ke
āġhosh-e-gul kushūda barā-e-vidā hai
ai andalīb chal ki chale din bahār ke
yuuñ bād-e-zabt-e-ashk phirūñ gird yaar ke
paanī piye kisū pe koī jaise vaar ke
bād-az-vidā-e-yār ba-ḳhūñ dar tapīda haiñ
naqsh-e-qadam haiñ ham kaf-e-pā-e-nigār ke
ham mashq-e-fikr-e-vasl-o-ġham-e-hijr se 'asad'
laa.eq nahīñ rahe haiñ ġham-e-rozgār ke
Top Urdushayar.com