Mirza Ghalib

safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aaKHir

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
safā-e-hairat-e-ā.īna hai sāmān-e-zang āḳhir
taġhayyur āb-e-bar-jā-māñda kā paatā hai rañg āḳhir
na kī sāmān-e-aish-o-jāh ne tadbīr vahshat kī
huā jām-e-zumurrad bhī mujhe dāġh-e-palañg āḳhir
ḳhat-e-nau-ḳhez nīl-e-chashm zaḳhm-e-sāfī-e-āriz
liyā ā.īna ne hirz-e-par-e-tūtī ba-chang āḳhir
hilāl-āsā tahī rah gar kushādan-hā-e-dil chāhe
huā mah kasrat-e-sarmāya-andozī se tañg āḳhir
taḌap kar mar gayā vo said-e-bāl-afshāñ ki muztar thā
huā nāsū-e-chashm-e-ta.aziyat chashm-e-ḳhadañg āḳhir
likhī yāroñ kī bad-mastī ne maiḳhāne kī pāmālī
hui qatra-fishānī-hā-e-mai-bārān-e-sañg āḳhir
'asad' parde meñ bhī āhañg-e-shauq-e-yār qaa.em hai
nahīñ hai naġhme se ḳhālī ḳhamīdan-hā-e-chañg āḳhir
Top Urdushayar.com